Pages

Saturday 13 October 2012

Story of a boy and his freinds

Bahut se sapne laker, kuch apne to kuch begane lekar,

chale hum duniya ka dil jeetne, apni meethi si aawaj or guitaron ko sath laker, 

socha tha kuch nya karenge nyi dhuno ko laker, dil me ajab si umang thi un gaano ko laker, 

dil me dar bhi tha stage ko laker, par perform karna tha nidar hoker, dil me ek chahat si thi audience ki goonj ko laker,gaana chahate the ek-do geet dard bhar kar, 

jab samay aaya gaane ka to kuch log aa gaye mics uthakar, 

jahan sunane the gaane wahan sab baith gye bhashan ko laker, 

dil ke foot gye taar, door jake pack kar diye guitar, khana khane ka dil bhi nhi kiya, dil me chubhan si ho rhi thi un zaalimon ki baaton ko laker,

 aaj un kamino ne dil hi tod diya,lagta hai mano chhura hi ghomp diya, 

dil nhi karta ab unke liye gaane ko, jo hans rhe the hamare maatam ko laker, 

thode pal jeene ki chah bhi khatm ho gyi, par fir hosh aaya doston ka pyar pakar, 

bhaad me gyi ye duniya jo jalti hai kisi ki kaabliyat se, bus mujhe to doston ka pyaar chahiye jo hamesha chale mere sath ,hath se hath pakad kar,

mai to mar bhi jaaun unke liye jo mujhe khush rakhte hain apna pyar dekar, 

dukh nhi hota hai unke liye jeene ka, jo milte hai anjani rahon pe or marte smay bhi bolte hain, chal sath chalte hai haath pakad kar, 

sayad khuda ne aaj dukh diya mujhe isliye qki,  wo bhi dukhi hai aaj kisi baat ko laker,....